Batane Se Kya Fayda?
Jo kabii dard samjhe hi nhi,
Use batane se kya fayda?
Dil ko dukhane se kya fayda?
Jise kabhi ehsas hi na ho,
Use haal e dil sunane se kya fayda?
Dil jalaane se kya fayda?
Jo rishta itna khokhla ho,
Jo aapke zakhm dekh kar andekha kar de..
Aansu dekh kar muh mod le,
Aise rishte ko nibhane se kya fayda?
Zakhm par namak lagane se kya fayda?
Dil jalane se kya fayda???