yoo guys so i am beginner producer and made this lofi beat lemme how is it
i used a loop for my melody but changed some notes which would go well with my drums and bass
i used a loop for my melody but changed some notes which would go well with my drums and bass
Guys see I am 15 rn and releasing an album. It is just for hobby btw. I was very inspired by the song astaghfirullah by mc stan. For reference lemme show u
Tauba tauba, astaghfirullah, maangu upar wale se maafi
Har raat sochu maine kyun di usko takleef itni bhaari
Maa ko rulaya maine, haan kai baar rulaya
Aaj usi baat ka bojh dil pe maine uthaya
Galti meri thi, ab sir jhuka ke khada hoon
Us har ek lamhe ke liye maafi mein pada hoon
Aaj phir pee li thodi, socha dil halka hoga
Par andar ka khaali pan aur gehra sa hoga
Manager ko bola, chhat ko ghoorta rahoon
Worli nahi, apni duniya mein hi doobta rahoon
Mar chuki hain feelings, ya shayad so gayi hain
Nashe ke bina ye saanse bhi kho gayi hain
Jhooth bolna chahoon, par sach hi nikal aata
Dil ka har tukda apni kahani batata
Main hoon jaisa hoon, bina kisi naqaab ke
Gareebi bhi apni, aur sacchai hisaab mein
Galliyon mein pala, wahin se seekha jeena
Basti ki hansi mein hi tha asli nageena
Kabhi masjid ke dar pe khud ko rokta hoon
Andar jaane se pehle khud se hi tokta hoon
Gunaahon ka bojh hai, dil mein ek khaali pan
Raasta dikhe par samajh na aaye wo safar pan
Tauba tauba, har saans mein naam uska
Maafi maangta phiroon, bas kaam hai ab uska
Maa ki aankhon ka paani ab bhi yaad aata
Har ek aansu mera hisaab pooch jaata
Har din anxiety, har raat bechaini
Har scene, har pal lage jaise hai qaid mein hi
Baap ke jaane ka wo din yaad aata
Ghar ki deewaron pe sannata chha jaata
Samajh aaya ab, kya khoya kya paaya
Door hokar hi maine apnon ko bhulaya
Majboori mein bana main thanda, bana alag
Do waqt ki roti ke liye khud se bhi jang
Kitaabon mein likha tha sahi-galat ka raasta
Par shaitaan ne dikhaya mujhe apna vaasta
Ab khada hoon beech mein, samajh nahi aata
Kidhar jaaun jahan khud ko wapas paata
Aaj hoon ya kal hoon, fark nahi padta
Bheed mein insaan ab insaan nahi dikhta
Phir bhi upar wale se ek hi dua
Dil saaf kar de, aur de de sukoon sa
Main bana apne dum pe, tu bana kismat se
Par sawaal wahi hai, kyun hum hi imtihaan mein
Ramzan mein bhi hum hanste the sacche dil se
Ab raaste bhatak gaye, kho gaye manzil se
Imaan bech ke kya milega aakhir
Naam reh jaayega ya hoga sab mitkar
Sach kadwa hai, par use apnaana padega
Khud se bhaagega to kahan jaana padega
Bas itni si baat hai, dil saaf kar de
Jo bhi galti hui use maaf kar de
Aur agar kabhi yaad aaye mera naam
Dua mein rakhna, bas yahi hai mera kaam
This is what I came up with. And the original lyrics can be searched. Will I be in legal trouble?