
Yeh kis kis ke saath hua hai ?
Mera saath hua baby face ki wajah se bolte hai konse school 😭
college ka final year abhi khtm hua hai 🥀🥀

Mera saath hua baby face ki wajah se bolte hai konse school 😭
college ka final year abhi khtm hua hai 🥀🥀
Bas aakash sir ko president aur bana do woh amalgamation bhi hata denge /s
Best channel na koi promotion, na koi bakaiti
Toh main jaa raha doodh lene diary par aur mere haath main tha phone aur meme dekh raha tha
Aunty ko laga main apni bandi 😭(joh sapne main bhi nhi aati) usse baat karke haas raha hun
Aur waha meri mummy bhi khadi hui thi toh aunty ne pucha girlfriend se baat kar rahe ho 😭😭😭
Main has ke mana kar diya (bhai ab toh koi umeed nhi hai 🙏🙏🙏🥺🥺)
Bas Ghar se bahar niklna hota hain
Toh yeh baat hogi aaj se approx 10 saal pehle ki jab mere ek relative main bhai hua karte the
He was too nice guys,hamesha haste huye dekha tha maine
badhe sanskari ladke woh mere saath khelte the boht
lekin last baar jab woh ghar aaye the tab maine kuch change dekha tha ki unke pass ek mobile hain aur hamare saath baithe hain lekin unki focus bas mobile par hain
jab mobile apne aap main ek luxury thi
toh uske 10 din baad jab boht tez barish aa rahi thi aur tufan bhi (main kuch bhi juth nhi bol raha)
toh unka ghar approx 70 km dur tha toh waise 2hr lagte waha car se jaane main lekin us din 4hr lagte the barish aur tufan ki wajah se
Toh us din hua kya
raat ka time approx 8 bje rahe hai hum sab khana khane baithe huye hai
Tabhi mere papa ke phone par call aaya meri aunty ka ki un relative ke ghar se phone aaya hai rote huye boli ki woh bhaiya ne sucide kar li hain
this is first time when i hear this term ki koi khud ko mar leta hai aise
us din gharwale gaye wahan us din bhenkar raat dar ke maar waise hi din nhi rahi hain.
Lekin ab apka sawaal yeh video kyun attach ki toh us din wahan sab pahuch gaye unki body ko utara gaya phir 5-6 din baad pata chala
bhaiya ka kisi se lafda chal raha tha aur usne breakup/ladai kuch toh hua tha us chakkar main aake unhe sucide kiya
woh kaise kiya woh ek alag kahani hai jisko shayad main batna bhi nhi chata
lekin uske baad unki mummy ki mental health boht khrb hui aur papa bhi bimar rehne lage
Hope he had good time in heaven 🙏🙏
i will also remember that face in my head whenever the thought come about suicide that was not easy at all you need to have courage.
And we have thought that life can easily solve after your death but forget about parents who they survive this things actually they got trauma only .
Ho skta hai tumko bhi pyar na mila lekin iska mtlb yeh nhi hota ki life khtm karlo
Bhailogo yeh ca hostel hai jaipur main aap aur koi friend rehta ho toh review mil skte hai please 🙏🙏
Bhailogo pata nhi kya insaan ban gaya
na hi padhne ka maan hai na hi kuch aur karne ka
agar ghar par stand lu khud ke liye toh 2 din guilt hota hain
college bhi end ho gaya na job hain aur joh course kar raha tha woh bhi leave kar diya
aur mental health 😭 jab tak kisi se baat kar raha hun thik rehta hun phir uske baad mujhe bhi nhi pata kya hun main
Toh kal hua kuch aisa pehle toh mereko papa ke kaam se ek jagah waha gaya
Aur waha mereko ek bhaiya se milne jana tha toh OP waha se nikl gaya bhaiya se milne
Lekin OP ne le liya wrong turn kyunki mereko grand masti chadi thi
Pehle toh ek accident se bacha 😭😭
Phir aage jake ek wrong turn aur le liya
Phir OP pocha gya apni city ke sabse bade gurudwara aur joh rasta tha uska u turn ussi gurudware ke samne se tha
Toh OP gurudwara gaya lekin is wale main 8 saal baad kyunki jab pehli baar gaya tha tab meri dadi ka operation hua tha ek hospital main joh uske pass tha
phir laut ke bhaiya ke pass jaa rha main bc itna hasa 😂😂😂😂 Ki meri zindagi pata nhi kaisi hain
EK wrong turn aur meri city ke dusre corner par
Lekin ek achhi baat hui accident se bach gaya
Ghar walon ne activa ke brake sahi nhi karye abhi tak 🥺 aur main berozgar
so hua aisa ki main abhi kuch din pehle decide kiya tha ki main CA nhi kar raha aur yeh sab maine ghar main bol diya fail hone ke baad
toh hua yeh mere bhai ne paise diye the course purchase karne ke liye pehle toh now he asking to return money
na financial independent hun aur upar se aur woh course bhi maine mentally pressure main aake leave kiya hain woh course
🥺 i don't know how to proceed this things and my mom repeatedly says- naam duba diya aur bharosa tha (lekin meri halat koi nhi dekha rha joh main mentally face kiya hun)
Review main bhi jalane aa jate hai ab toh 😭😭
Found this post on X
Bhai maza aa gaya is video ko dekh kar sachmain
i want that era of bollywood is back
Edit- Video russia ka movie re release hui uska scene hain
TLDR- kuch logo ko pyar ka nasha hua tha mere school main jab jio nhi tha aur phir kuch kand hua aur relation khtm ho gaya lekin 1 couple bach gaya uski story baad main batunga
maan kar aaya tea dene ka toh de raha bhaut garam hain
Is tea ke kuch kidar jinka naam mujhe badal padega pata chala meri fielding set ho
toh is tea ka main focus hone wala hain Priya (badal hua naam hai) aur Anuj aur kamine dost bhi jisme main bhi aata hun toh unko main dost hi refer karunga
Baat hai class 7 ki jab internet tha lekin jio nhi tha so kuch log hi facebook wale the bas
Toh class 7 main hamare school main naya pyar ki entry hui kuch dost ko yeh viral virus laga toh class 7 ke teen ladke aur class6 ki teen ladkiya yeh group main yeh pyar ka fever laga
but hum log town wale the toh yeh sab karne main dar bhi tha lekin main nhi tha woh virus ka patient 😭[shayad ho jata thoda badhiya rehta]
toh yeh log ab priya aur anuj school ke baad baki 2 couple aur kuch unke dost school main rukne lage mast khelte wahan mazak karte
Ab bhai aur unki beheno toh yeh logo ko baat karni hain social media hain nhi toh Love letter bhejte the aur main aur mera dost bante 💌 delivery man aur kabhi kabhi padh bhi lete the 😂(gyan mat dene comment main privacy wali maja aata tha bas)
aur ek din aise hi ek letter humko mila aur woh hamne nhi padha tha kyunki special tha woh par hamari chul bahut thi toh humne usko bola bhai padha de woh letter ko chaba gaya damn 😂 lekin usne padhne nhi diya
Sab both badhiya chal rhaa tha lekin koi kand na ho aisa ho nhi skta toh new year ka time 2-3 mahine beet chuke the ab ek ladke ne apni bandi ke liye card banaya aur usme bas naam nhi likha tha tabhi ek dalle ne yeh bataya principal 😱
Aur principal ne raid maar di class main aur phir kar usne check aur woh dalla joh tha usne batya ki woh bhaiya ne card kaha chupa uspar bas naam nhi tha isliye bach gaya woh
lekin is ke baad sab main dar baith gaya aur joh bhi kuch ho rhaa tha sabke bich main woh sab ruk gyaa
lekin priya aur anuj ki story alag hai woh agle part main woh deserve karte hain isliye
Ab bas mod bana do mereko