Sed hours call for sed poetry.
The Poet said,
“Zinda rahein to kya hai, jo mar jaayein hum to kya? Duniya se khamoshi se guzar jaayein hum to kya?
Hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne, Ek khwaab hain jahaan mein, bikhar jaayein hum to kya?
Ab kaun muntazir hai hamaare liye wahaan? Shaam aa gayi hai, laut ke ghar jaayein hum to kya?
Dil ki khalish to saath rahegi tamaam umr, Dariya-e-gham ke paar utar jaayein hum to kya?”