Ab usse ye kaun bataye
Maloom hai mujhe, ishq hai usse,
Magar ab usse kaun bataye.
Tamannaa-e-visaal se dil,
Har shab sar-gardaan rehta hai.
Dil ka pinhaan har fasana,
Ab usse kaun bataye.
Khauf-e-hijr bhi hai,
Aur ruswaai ka andesha bhi.
Lafz lab tak aa kar thehar gaye,
Ab usse kaun bataye.
Is darya-e-ishq mein,
Main apni hasti fana kar baitha.
Woh be-khabar hi rahi,
Meri kaifiyat se.
Ab milna bhi muqaddar nahi,
Woh us simt chali gayi,
Jidhar main sirf uski khaatir aaya tha.
Ab usse kaun bataye.
Ye auraaq bhi usi ke naam hain,
Har misra usi ko pukare.
Qalam thak bhi jaaye toh kya,
Qissa adhura reh bhi jaaye toh kya.
Dil har dam yehi pukare,
Ab usse kaun bataye.
-Salwa-